Apne KHun Ko KHarch Kiya Hai Aur Kamaya Shahr

apne KHun ko KHarch kiya hai aur kamaya shahr

sare manzar TuT gae aur kaam na aaya shahr

be-ghar hona be-ghar rahna sab achchha Thahra

ghar ke andar ghar nahin paya shahr mein paya shahr

sat samundar par bhi aankhen mere sath na aain

chaaron jaanib KHwab hain mere aur paraya shahr

kale shahr ko raushan rakkha shahr ke logon ne

diwanon ne diye jalae aur bujhaya shahr

shahr ke unche burj bhi mere qad se chhoTe the

chhoTe chhoTe logon ne kya KHub banaya shahr

(822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne KHun Ko KHarch Kiya Hai Aur Kamaya Shahr In English By Famous Poet Iftikhar Qaisar. Apne KHun Ko KHarch Kiya Hai Aur Kamaya Shahr is written by Iftikhar Qaisar. Read famous Poem Apne KHun Ko KHarch Kiya Hai Aur Kamaya Shahr for youth and Student by Iftikhar Qaisar. Free Download Apne KHun Ko KHarch Kiya Hai Aur Kamaya Shahr in PDF.