Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b0967f0041a5e92a50b64e137710631e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Mila Mujhko Na Jaane KHol Kaisa ODh Kar - Iftikhar Naseem Poetry In English - Darsaal

Wo Mila Mujhko Na Jaane KHol Kaisa ODh Kar

wo mila mujh ko na jaane KHol kaisa oDh kar

raushni gum ho gai apna hi saya oDh kar

nind se bojh hain patte unghte se peD hain

shahar soya hai KHamoshi ka labaada oDh kar

DhunDhta phirta tha main har shaKHs ke asli nuqush

log milte the mujhe chehre pe chehra oDh kar

munjamid sa ho gaya hun KHunki-e-ehsas se

dhup bhi nikli hai lekin tan pe kapDa oDh kar

rang sare dho gaya hai raat ka baadal 'nasim'

aur ghar nange hue pani barasta oDh kar

(1036) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Mila Mujhko Na Jaane KHol Kaisa ODh Kar In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. Wo Mila Mujhko Na Jaane KHol Kaisa ODh Kar is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem Wo Mila Mujhko Na Jaane KHol Kaisa ODh Kar for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download Wo Mila Mujhko Na Jaane KHol Kaisa ODh Kar in PDF.