Sham Se Tanha KhaDa Hun Yas Ka Paikar Hun Main
sham se tanha khaDa hun yas ka paikar hun main
ajnabi hun aur fasil-e-shahr se bahar hun main
tu to aaya hai yahan par qahqahon ke waste
dekhne wale baDa ghamgin sa manzar hun main
main bacha lunga tujhe duniya ke sard-o-garm se
Dhanp le mujh se badan apna teri chadar hun main
ab to milte hain hawa se bhi dar-o-diwar-e-jism
basiyo mujh se nikal jao shikasta-ghar hun main
main tumhein uDte hue dekhunga mere sathiyo
main tumhaara sath kaise dun shikasta-par hun main
mere hone ka pata le lo dar-o-diwar se
kah raha hai ghar ka sannaTa abhi andar hun main
kaun dega ab yahan se teri dastak ka jawab
kis liye mujh ko sada deta hai KHali ghar hun main
(881) Peoples Rate This