Nam Bhi Jis Ka Zaban Par Tha Duaon Ki Tarah
nam bhi jis ka zaban par tha duaon ki tarah
wo mujhe milta raha na-ashnaon ki tarah
aa ki tere muntazir hain aaj bhi diwar-o-dar
gunjta hai ghar mein sannaTa sadaon ki tarah
wo shajar jalta raha KHud kis kaDakti dhup mein
jis ka saya tha mere sar par ghaTaon ki tarah
jhuk rahe the bagh ke sab phul us ke samne
ghas par baiTha tha wo farman-rawaon ki tarah
main bhala kaise use ek ajnabi kah dun 'nasim'
jis ne dekha tha palaT kar aashnaon ki tarah
(844) Peoples Rate This