Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6cd6627de44df4ffdacbe1bbb4c7b3a2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Na Jaane Kab Wo PalaT Aaen Dar Khula Rakhna - Iftikhar Naseem Poetry In English - Darsaal

Na Jaane Kab Wo PalaT Aaen Dar Khula Rakhna

na jaane kab wo palaT aaen dar khula rakhna

gae hue ke liye dil mein kuchh jagah rakhna

hazar talKH hon yaaden magar wo jab bhi mile

zaban pe achchhe dinon ka hi zaiqa rakhna

na ho ki qurb hi phir marg-e-rabt ban jae

wo ab mile to zara us se fasla rakhna

utar phenk de KHush-fahmiyon ke sare ghilaf

jo shaKHs bhul gaya us ko yaad kya rakhna

abhi na ilm ho us ko lahu ki lazzat ka

ye raaz us se bahut der tak chhupa rakhna

kabhi na lana masail gharon ke daftar mein

ye donon pahlu hamesha juda juda rakhna

uDa diya hai jise chum kar hawa mein 'nasim'

use hamesha hifazat mein ai KHuda rakhna

(1282) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Jaane Kab Wo PalaT Aaen Dar Khula Rakhna In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. Na Jaane Kab Wo PalaT Aaen Dar Khula Rakhna is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem Na Jaane Kab Wo PalaT Aaen Dar Khula Rakhna for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download Na Jaane Kab Wo PalaT Aaen Dar Khula Rakhna in PDF.