Mishal-e-ummid Thamo Rahnuma Jaisa Bhi Hai
mishal-e-ummid thamo rahnuma jaisa bhi hai
ab to chalna hi paDega rasta jaisa bhi hai
kis liye sar ko jhukaen ajnabi ke samne
us se hum waqif to hain apna KHuda jaisa bhi hai
kis ko fursat thi hujum-e-shauq mein jo sochta
dil ne us ko chun liya wo bewafa jaisa bhi hai
sari duniya mein wo mere waste bas ek hai
phul sa chehra hai wo ya chand sa jaisa bhi hai
fasl-e-gul mein bhi dikhata hai KHizan-dida-daraKHt
TuT kar dene pe aae to ghaTa jaisa bhi hai
(944) Peoples Rate This