Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d17d2fab801d849ec996742f6aaa58a6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mere Nuqush Tere Zehn Se MiTa Dega - Iftikhar Naseem Poetry In English - Darsaal

Mere Nuqush Tere Zehn Se MiTa Dega

mere nuqush tere zehn se miTa dega

mera safar hi mere fasle baDha dega

andheri raat hai is tund-KHu se mat kahna

wo raushni ke liye apna ghar jala dega

main us ka sab se hun pyara magar bichhaDte hi

wo sab ko yaad karega mujhe bhula dega

bana hua hun main mujrim baghair jurm kiye

ab aur kya mera munsif mujhe saza dega

ugaya jis ne hai banjar zamin mein tujh ko 'nasim'

hai kya baid ki wo phul bhi khila dega

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Nuqush Tere Zehn Se MiTa Dega In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. Mere Nuqush Tere Zehn Se MiTa Dega is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem Mere Nuqush Tere Zehn Se MiTa Dega for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download Mere Nuqush Tere Zehn Se MiTa Dega in PDF.