Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cf5d0bd750ad348f9a02ab461192cd8d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kisi Ke Haq Mein Sahi Faisla Hua To Hai - Iftikhar Naseem Poetry In English - Darsaal

Kisi Ke Haq Mein Sahi Faisla Hua To Hai

kisi ke haq mein sahi faisla hua to hai

mera nahin wo kisi shaKHs ka hua to hai

yahi bahut hai ki us ne mujhe bhi miss to kiya

ye lams mujh mein abhi tak racha hua to hai

use main khul ke kabhi yaad kar to sakta hun

mujhe KHushi hai wo mujh se juda hua to hai

sukut-e-shab hi sahi mera ham-safar lekin

mere siwa bhi koi jagta hua to hai

ghuTan ki baDhti chali ja rahi hai andar ki

tamam KHush hain ki mausam khula hua to hai

ye aur baat ki main zinda rah gaya hun 'nasim'

har ek sitam meri jaan par rawa hua to hai

(855) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ke Haq Mein Sahi Faisla Hua To Hai In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. Kisi Ke Haq Mein Sahi Faisla Hua To Hai is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem Kisi Ke Haq Mein Sahi Faisla Hua To Hai for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download Kisi Ke Haq Mein Sahi Faisla Hua To Hai in PDF.