Is Tarah Soi Hain Aankhen Jagte Sapnon Ke Sath
is tarah soi hain aankhen jagte sapnon ke sath
KHwahishen lipTi hon jaise band darwazon ke sath
raat-bhar hota raha hai us ke aane ka guman
aise Takraati rahi ThanDi hawa pardon ke sath
ek lamhe ka talluq umr bhar ka rog hai
dauDte phirte rahoge bhagte lamhon ke sath
main use aawaz de kar bhi bula sakta na tha
is tarah TuTe zaban ke rabte lafzon ke sath
ek sannaTa hai phir bhi har taraf ek shor hai
kitne chehre aankh mein phaile hain aawazon ke sath
jaani-pahchani hain baaten jaane-bujhe naqsh hain
phir bhi milta hai wo sab se muKHtalif chehron ke sath
dil dhaDakta hi nahin hai us ko pa kar bhi 'nasim'
kis qadar manus hai ye nit-nae sadmon ke sath
(977) Peoples Rate This