Hath Lahraata Raha Wo BaiTh Kar KhiDki Ke Sath
hath lahraata raha wo baiTh kar khiDki ke sath
main akela dur tak bhaga gaya gaDi ke sath
ho gaya hai ye makan KHali sadaon se magar
zehn ab tak gunjta hai rail ki siTi ke sath
muddaten jis ko lagi thin mere pas aate hue
ho gaya mujh se juda wo kis qadar tezi ke sath
koi baadal mere tapte jism par barsa nahin
jal raha hun jaane kab se jism ki garmi ke sath
nind katra ke guzar jati hai aankhon se 'nasim'
jagta rahta hun ab main shab ki virani ke sath
(904) Peoples Rate This