Hath Hathon Mein Na De Baat Hi Karta Jae
hath hathon mein na de baat hi karta jae
hai bahut lamba safar yun to na Darta jae
ji mein Thani hai ki jina hai bahar-haal mujhe
jis ko marna hai wo chup-chap hi marta jae
KHud ko mazbut bana rakkhe pahaDon ki tarah
ret ka aadmi andar se bikharta jae
surKH phulon ka nahin zard udasi ka sahi
rang kuchh to meri taswir mein bharta jae
mujh se nafrat hai agar us ko to izhaar kare
kab main kahta hun mujhe pyar hi karta jae
ghar ki diwar ko itna bhi tu uncha na bana
tera ham-saya tere sae se Darta jae
(926) Peoples Rate This