Hai Justuju Agar Isko Idhar Bhi Aaega
hai justuju agar is ko idhar bhi aaega
nikal paDa hai to phir mere ghar bhi aaega
tamam umr kaTegi yunhi sarabon mein
wo samne bhi na hoga nazar bhi aaega
jo gham hua hai nae shahar ke makanon mein
wo dekhne ko kabhi ye khanDar bhi aaega
rachi hai mere badan mein tamam din ki thakan
abhi to raat ka lamba safar bhi aaega
zara si der mein har shai chamak uThegi 'nasim'
sahar hui hai to nur-e-sahar bhi aaega
(981) Peoples Rate This