Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5e12e91fd6556a04bdc4564e0e52580d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chand Phir Taron Ki Ujli Rezgari De Gaya - Iftikhar Naseem Poetry In English - Darsaal

Chand Phir Taron Ki Ujli Rezgari De Gaya

chand phir taron ki ujli rezgari de gaya

raat ko ye bhik kaisi KHud bhikari de gaya

Tankti phirti hain kirnen baadalon ki shaal par

wo hawa ke hath mein goTa kanari de gaya

kar gaya hai dil ko har ek wahime se be-niyaz

ruh ko lekin ajab si be-qarari de gaya

shor karte hain parinde peD kaTta dekh kar

shahr ke dast-e-hawas ko kaun aari de gaya

us ne ghayal bhi kiya to kaise patthar se 'nasim'

phul ka tohfa mujhe mera shikari de gaya

(879) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Phir Taron Ki Ujli Rezgari De Gaya In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. Chand Phir Taron Ki Ujli Rezgari De Gaya is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem Chand Phir Taron Ki Ujli Rezgari De Gaya for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download Chand Phir Taron Ki Ujli Rezgari De Gaya in PDF.