Ban Gaya Hai Jism Guzre Qafilon Ki Gard Sa
ban gaya hai jism guzre qafilon ki gard sa
kitna viran kar gaya mujh ko mera hamdard sa
kya abhi tak us ka rasta rokti hai koi soch
mere hathon mein hai us ka hath lekin sard sa
is tarah ghul-mil gaya aa kar nae mahaul mein
wo bhi ab lagta hai mere ghar ka hi ek fard sa
jazb tha jaise koi suraj hi us ke jism mein
dur se wo sang lagta tha ba-zahir sard sa
aaj tak aankhon mein hai manzar bichhaDne ka 'nasim'
pairahan mela sa us ka aur chehra zard sa
(706) Peoples Rate This