Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c6e56f73b159217116ca329fc90faf53, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Apni Majburi Batata Raha Ro Kar Mujhko - Iftikhar Naseem Poetry In English - Darsaal

Apni Majburi Batata Raha Ro Kar Mujhko

apni majburi batata raha ro kar mujh ko

wo mila bhi to kisi aur ka ho kar mujh ko

main KHuda to nahin jo us ko dikhai na diya

DhunDhta mera pujari kabhi kho kar mujh ko

pa liya jis ne tah-e-ab bhi apna sahil

mutmain tha mera tufan Dubo kar mujh ko

reg-e-sahil pe likhi waqt ki tahrir hun main

mauj aae to chali jaegi dho kar mujh ko

nind hi jaise koi kunj-e-aman hai ab to

chain milta hai bahut der se so kar mujh ko

fasl-e-gul ho to nikale mujhe is barzaKH se

bhul jae na tah-e-sang wo bo kar mujh ko

(963) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Majburi Batata Raha Ro Kar Mujhko In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. Apni Majburi Batata Raha Ro Kar Mujhko is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem Apni Majburi Batata Raha Ro Kar Mujhko for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download Apni Majburi Batata Raha Ro Kar Mujhko in PDF.