Tumhein Bhi Chaha, Zamane Se Bhi Wafa Ki Thi

tumhein bhi chaha, zamane se bhi wafa ki thi

ye nigh-dari junun ne juda juda ki thi

wo sara qissa faqat rakh-rakhaw ka to na tha

us ek nam se nisbat bhi intiha ki thi

kisi chhabile mein wo chhab nazar nahin aai

wo ek chhab ki jo us aaina-qaba ki thi

KHuda! sila de dua ka, mohabbaton ke KHuda

KHuda! kisi ne kisi ke liye dua ki thi

main apna chehra kahan DhunDhta phirunga ab

ki main ne teri jabin apna aaina ki thi

hamein tabah to hona tha apni apni jagah!

tawil jang thi aur jang bhi ana ki thi

saba-nafas tha wo aur main tha gard-baad-mizaj

hamare bich thi jo qadr so hawa ki thi

(811) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhein Bhi Chaha, Zamane Se Bhi Wafa Ki Thi In English By Famous Poet Iftikhar Mughal. Tumhein Bhi Chaha, Zamane Se Bhi Wafa Ki Thi is written by Iftikhar Mughal. Read famous Poem Tumhein Bhi Chaha, Zamane Se Bhi Wafa Ki Thi for youth and Student by Iftikhar Mughal. Free Download Tumhein Bhi Chaha, Zamane Se Bhi Wafa Ki Thi in PDF.