Main Bhi Be-ant Hun Aur Tu Bhi Hai Gahra Sahra
main bhi be-ant hun aur tu bhi hai gahra sahra
ya Thahar mujh mein ya KHud mein mujhe Thahra sahra
ruh mein lahr banate hain teri lahron se
aur kuchh der mere samne lahra sahra
aankh jhapki thi bas ek lamhe ko aur is ke baad
main ne DhunDa hai tujhe zindagi sahra sahra
apni hasti ko bikharne se bacha lena tum
mujh pe mat jaana meri jaan main Thahra sahra
mere lahje ka samundar hi nahin sukha hai
luT gaya teri hansi ka bhi sunahra sahra
(891) Peoples Rate This