Kisi Sabab Se Agar Bolta Nahin Hun Main

kisi sabab se agar bolta nahin hun main

to yun nahin ki tujhe sochta nahin hun main

main tum ko KHud se juda kar ke kis tarah dekhun

ki main bhi tum hun, koi dusra nahin hun main

to ye bhi tai! ki bichhaD kar bhi log jite hain

main ji raha hun! agarche jiya nahin hun main

kisi mein koi baDa-pan mujhe dikhai na de

KHuda ka shukr ki itna baDa nahin hun main

meri uThan ki har inT main ne rakkhi hai

main KHud bana hun! banaya hua nahin hun main

yahan jo aaega wo KHud ko haar jaega

qimar-KHana-e-jaan mein naya nahin hun main

mere wajud ke andar mujhe talash na kar

ki is makan mein aksar raha nahin hun main

main ek umr se KHud ko talashta hun magar

mujhe yaqin nahin, hun bhi ya nahin hun main

main ek guman ka imkan hun 'iftiKHar'-mughal

ki ho to sakta hun lekin hua nahin hun main

(1919) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Sabab Se Agar Bolta Nahin Hun Main In English By Famous Poet Iftikhar Mughal. Kisi Sabab Se Agar Bolta Nahin Hun Main is written by Iftikhar Mughal. Read famous Poem Kisi Sabab Se Agar Bolta Nahin Hun Main for youth and Student by Iftikhar Mughal. Free Download Kisi Sabab Se Agar Bolta Nahin Hun Main in PDF.