Ek KHala, Ek La-intiha Aur Main

ek KHala, ek la-intiha aur main

kitne tanha hain mera KHuda aur main

kitne nazdik aur kis qadar ajnabi!!

mujh mein mujh sa koi dusra aur main

log bhi so gae, rog bhi so gae

jagte hain mera rat-jaga aur main

raat aur raat mein gunjti ek baat

ek KHauf, ek munDer, ek diya aur main

shahr taraj hai, jabr ka raj hai

phir bhi sabit hain meri ana aur main

tere mausam, teri guftugu aur tu

meri aankhon mein ek an-kaha, aur main

ab to is jang ka faisla ho koi

laD rahe hain azal se hawa aur main

rang, KHushbu, shafaq, chandni, shaeri

likh raha tha main, us ne kaha aur main!

us ki baat aur hai, warna ai 'iftiKHar'

us ko malum hai, iltija aur main

(826) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek KHala, Ek La-intiha Aur Main In English By Famous Poet Iftikhar Mughal. Ek KHala, Ek La-intiha Aur Main is written by Iftikhar Mughal. Read famous Poem Ek KHala, Ek La-intiha Aur Main for youth and Student by Iftikhar Mughal. Free Download Ek KHala, Ek La-intiha Aur Main in PDF.