Ye Tera Bankpan Ye Ranai
ye tera bankpan ye ranai
rashk-e-mahtab teri zebai
husn tera ajab karishma hai
ek aalam bana tamashai
yaad aaya mujhe badan tera
dur qaus-e-quzah jo lahrai
jab se sham-e-wafa jalai hai
anjuman ban gai hai tanhai
yun guzarte hain dekh kar mujh ko
jaise mujh se nahin shanasai
dip yaadon ke jal hi jate hain
chheD deti hai jab bhi purwai
nashtar-e-gham na jis ko ras aaya
zist us ko kabhi na ras aai
ek ru-e-hasin nazar aaya
ab charaghon mein raushni aai
ishq ki KHud-supurdagi dekhi
KHud tamasha bana tamashai
(765) Peoples Rate This