Saeban
main KHizan mein giraftar hun
dekho KHwabida maujon KHaridar ruhon
umaDte simaTte zamanon se
arz-o-sama ki siyahi ka daman nichoDa hai
lekin hawaon ke wahm-o-guman mein nahin
kaun si KHak se
qatra-e-ab tabinda-moti ki aaghosh leta hai
KHwahish se bahar na aaun meri ibtida intiha
aaj samundar ki silwaT mein tabindagi hai
samundar ko pighla
bata mere sine mein kis kis ki aawaz hai
khet mein baghban mar chuka hai
zamin KHun-chakan hai
sitare nahin hain faqat saeban hai
(1144) Peoples Rate This