Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f588e8c370b6de86a4139490f0645da3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Nahin Milta Mujhe Is Ka Gila Apni Jagah - Iftikhar Imam Siddiqi Poetry In English - Darsaal

Wo Nahin Milta Mujhe Is Ka Gila Apni Jagah

wo nahin milta mujhe is ka gila apni jagah

us ke mere darmiyan ka fasla apni jagah

zindagi ke is safar mein saikDon chehre mile

dilkashi un ki alag paikar tera apni jagah

tujh se mil kar aane wale kal se nafrat mol li

ab kabhi tujh se na bichhDun ye dua apni jagah

ek musalsal dauD mein hain manzilen aur fasle

peD to apni jagah hain rasta apni jagah

(1280) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Nahin Milta Mujhe Is Ka Gila Apni Jagah In English By Famous Poet Iftikhar Imam Siddiqi. Wo Nahin Milta Mujhe Is Ka Gila Apni Jagah is written by Iftikhar Imam Siddiqi. Read famous Poem Wo Nahin Milta Mujhe Is Ka Gila Apni Jagah for youth and Student by Iftikhar Imam Siddiqi. Free Download Wo Nahin Milta Mujhe Is Ka Gila Apni Jagah in PDF.