Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_eede1508896099792247530e2b66088e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo KHwab Tha Bikhar Gaya KHayal Tha Mila Nahin - Iftikhar Imam Siddiqi Poetry In English - Darsaal

Wo KHwab Tha Bikhar Gaya KHayal Tha Mila Nahin

wo KHwab tha bikhar gaya KHayal tha mila nahin

magar ye dil ko kya hua kyun bujh gaya pata nahin

har ek din udas din tamam shab udasiyan

kisi se kya bichhaD gae ki jaise kuchh bacha nahin

wo sath tha to manzilen nazar nazar charagh thin

qadam qadam safar mein ab koi bhi lab dua nahin

hum apne is mizaj mein kahin bhi ghar na ho sake

kisi se hum mile nahin kisi se dil mila nahin

hai shor sa taraf taraf ki sarhadon ki jang mein

zamin pe aadmi nahin falak pe kya KHuda nahin

(1762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo KHwab Tha Bikhar Gaya KHayal Tha Mila Nahin In English By Famous Poet Iftikhar Imam Siddiqi. Wo KHwab Tha Bikhar Gaya KHayal Tha Mila Nahin is written by Iftikhar Imam Siddiqi. Read famous Poem Wo KHwab Tha Bikhar Gaya KHayal Tha Mila Nahin for youth and Student by Iftikhar Imam Siddiqi. Free Download Wo KHwab Tha Bikhar Gaya KHayal Tha Mila Nahin in PDF.