Andalibon Se Kabhi Gul Se Kabhi Leta Hun
andalibon se kabhi gul se kabhi leta hun
azm-e-bardasht dam-e-tishna-labi leta hun
tanz ki sard hawaen jo satati hain mujhe
shiddat-e-garmi-e-ehsas ko pi leta hun
zindagi baqi bhi apnon mein guzar jaegi
is liye talKHi-e-haalat ko pi leta hun
mujh pe sab log gunah Dal diya karte hain
kis liye kis ke liye dariya-dili leta hun
inkisari ne mujhe itni bulandi di hai
bhul kar bhi na kabhi rah-e-KHudi leta hun
(830) Peoples Rate This