Raushni Ki Dor Thame Zindagi Tak Aa Gae
raushni ki Dor thame zindagi tak aa gae
chor ahd-e-samri ke jal-pari tak aa gae
waizan-e-KHush-hawas ki jhiDkiyan sunte hue
la-shuuri taur par hum sarKHushi tak aa gae
Dhol piTa ja raha tha aur KHali peT hum
hanste-gate thap sunte Dholchi tak aa gae
wahimon ki na-tamami ka ilaqa chhoD kar
kuchh parinde hath bandhe sabzagi tak aa gae
bhai bahnon ki mohabbat ka nasha mat pochhiye
be-takalluf ho gae to gudgudi tak aa gae
chaak-e-tohmat par ghumaya ja raha tha ishq ko
jab hamare ashk KHwab-e-KHud-kushi tak aa gae
galiyan bakne lage ghusse hue laDne lage
raqs karte karte hum bhi KHud-sari tak aa gae
ai hasin laDki tumhaare husn ke lazzat parast
kafiri se sar bacha kar shairi tak aa gae
(1025) Peoples Rate This