Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_be45f32fc6b2a8d95672fafe735be2c2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aasan Nahin Hai Jada-e-hairat Uburna - Iftikhar Falak Kazmi Poetry In English - Darsaal

Aasan Nahin Hai Jada-e-hairat Uburna

aasan nahin hai jada-e-hairat uburna

hairan hue baghair use mat uburna

mere KHilaf koi bhi bakta rahe magar

sikha hai main ne sarhad-e-tohmat uburna

sad-afrin KHayal to achchha hai waqai

aankhon ko band kar ke mohabbat uburna

aawargan-e-ishq zara ehtiyat se

lazzat ke baad lazzat-e-shahwat uburna

tamir-e-mah-o-sal mein taKHir ke baghair

kis ko rawa hai arsa-e-mohlat uburna

juzw-e-badan banega to bahar bhi aaega

ye zaKHm thoDi der se hazrat uburna

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aasan Nahin Hai Jada-e-hairat Uburna In English By Famous Poet Iftikhar Falak Kazmi. Aasan Nahin Hai Jada-e-hairat Uburna is written by Iftikhar Falak Kazmi. Read famous Poem Aasan Nahin Hai Jada-e-hairat Uburna for youth and Student by Iftikhar Falak Kazmi. Free Download Aasan Nahin Hai Jada-e-hairat Uburna in PDF.