Dasht-e-be-samt Mein Rukna Bhi Safar Aisa Tha
dasht-e-be-samt mein rukna bhi safar aisa tha
zindagi bhagte guzri mujhe Dar aisa tha
sanp lipTe hue shaKHon se samar zahr-bhare
jis ke sae mein lagi aankh shajar aisa tha
raat bhar aag barasti hai hawa jalti hai
sochta hun mere KHwabon ka nagar aisa tha
aks-e-ummid bhi milta na tha sahraon mein
aankh tarsi thi sarabon ko safar aisa tha
DhunDhta hun use nindon se tahi raaton mein
hae wo shaKHs ki jo KHwab-e-sahar aisa tha
ab ki lauTa hun 'buKHari' to hun begana sa
mera is shahr se jaana to KHabar aisa tha
(682) Peoples Rate This