Bhar Aain Aankhen Kisi Bhuli Yaad Se Sham Ke Manzar Mein
bhar aain aankhen kisi bhuli yaad se sham ke manzar mein
do bunden meri hotin tere be-ant samundar mein
jo sairab karen teri sabza-gahen umr ke pani se
thoDi si hariyali hoti un ke zard muqaddar mein
jin aankhon se rangon wali barish ka ek wada tha
wo aankhen to miTTi ho gain subh-o-sham ke chakkar mein
aaj bhi dhup ke sajjade pe namaz-e-mashaqqat main ne paDhi
aaj bhi malik dozaKH rakh di tu ne mere bistar mein
kabhi kabhi is khoj mein dil ke darwaze tak jata hun
kis ne mujh se chhup kar meri umr guzari is ghar mein
(687) Peoples Rate This