Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5de2d1ca917a7fdd26b07dc3b1ce7c62, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Be-KHabar Mujhse Mere Dil Mein Hamesha Hansta - Iftikhar Bukhari Poetry In English - Darsaal

Be-KHabar Mujhse Mere Dil Mein Hamesha Hansta

be-KHabar mujh se mere dil mein hamesha hansta

phul nargis ka surahi mein akela hansta

chalte chalte kahin ruk jati ye duniya ek pal

chand hansta ye hawa hansti ye sahra hansta

jaane kis soch mein aata hai guzar jata hai

roz ek roz meri umr mein hansta hansta

phaD-phaDate hue KHwabon ke kabutar uDte

der tak phir mere kamre mein andhera hansta

main ne tanhai mein jo us ko muKHatab kar ke

ki hain baaten unhen sunta to wo kitna hansta

(605) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-KHabar Mujhse Mere Dil Mein Hamesha Hansta In English By Famous Poet Iftikhar Bukhari. Be-KHabar Mujhse Mere Dil Mein Hamesha Hansta is written by Iftikhar Bukhari. Read famous Poem Be-KHabar Mujhse Mere Dil Mein Hamesha Hansta for youth and Student by Iftikhar Bukhari. Free Download Be-KHabar Mujhse Mere Dil Mein Hamesha Hansta in PDF.