Tajahul-arifana
jauhri ko kya malum kis tarah ki miTTi mein kaise phul hote hain
kis tarah ke phulon mein
kaisi bas hoti hai
jauhri ko kya malum
jauhri to sari umar pattharon mein rahta hai
zar-garon mein rahta hai
jauhri ko kya malum
ye to bas wahi jaane
jis ne apni miTTi se
apna ek ek paiman
ustuwar rakkha ho
jis ne harf-e-paiman ka e'tibar rakkha ho
jauhri ko kya malum kis tarah ki miTTi mein kaise phul hote hain
kis tarah ke phulon mein kaisi bas hoti hai
(1668) Peoples Rate This