Pas Che-bayad-kard
KHwab-e-KHas-KHana-o-barfab ke pichhe pichhe
garmi-e-shahr-e-muqaddar ke satae hue log
kaisi yaKH-basta zaminon ki taraf aa nikle
mauj-e-KHun barf hui jati hai sansen bhi hain barf
wahshaten jin ka muqaddar thin wo aankhen bhi hain barf
yaad-e-yaran-e-dil-awez ka manzar bhi hai barf
ek ek nam har aawaz har ek chehra barf
munjamid KHwab ki Tiksal ka har sikka barf
aur ab sochte hain sham-o-sahar sochte hain
KHwab-e-KHas-KHana-o-barfab se wo aag bhali
jin ke shoalon mein bhi qirtas o qalam zinda hain
jis mein har ahd ke har nasl ke gham zinda hain
KHak ho kar bhi ye lagta tha ki hum zinda hain
(899) Peoples Rate This