Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5f55a4a7b80a72c31b1f9b18d93affea, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mera Zehn Mujhko Raha Kare - Iftikhar Arif Poetry In English - Darsaal

Mera Zehn Mujhko Raha Kare

mera zehn dil ka rafiq hai

mera dil rafiq hai jism ka

mera jism hai meri aankh mein

meri aankh us ke badan mein hai

wo badan ki bosa-e-atishin mein jala bhi phir bhi hara raha

wo badan ki lams ki barishon mein dhula bhi phir bhi naya raha

wo badan ki wasl ke fasle pe raha bhi phir bhi mera raha

mujhe e'tiraf! mere wajud pe ek charagh ka ek KHwab ka ek umid ka qarz hai

mujhe e'tiraf! ki mere naKHun-e-be-hunar pe hazar tarah ke qarz hain

mera zehn mujh ko riha kare to main sare qarz utar dun

meri aankh mujh se wafa kare to main jism o jaan pe war dun

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Zehn Mujhko Raha Kare In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Mera Zehn Mujhko Raha Kare is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Mera Zehn Mujhko Raha Kare for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Mera Zehn Mujhko Raha Kare in PDF.