Gumnam Sipahi Ki Qabr Par
sipahi aaj bhi koi nahin aaya
kisi ne phul hi bheje
na basti ke gharon se aashna giton ki aawazen sunai den
na parcham koi lahraya
sipahi! sham hone aai aur koi nahin aaya
fana ki KHandaqon ko jaan de kar par kar jaana baDi baat
jahan jine ki KHatir mar rahe hon log us basti mein mar jaana baDi baat
magar pal bhar ko ye socha to hota
tumhaare baad ghar ki muntazir dahliz ko jage hue dil ki nishani kaun dega
hawaon se ulajhti raushni ko e'tibar-e-kaamrani kaun dega
dar-o-diwar se lipTi hui belon ko pani kaun dega
(1978) Peoples Rate This