Elan Nama
main lakh buzdil sahi magar main usi qabile ka aadmi hun ki jis ke beTon ne
jo kaha us pe jaan de di
main jaanta tha mere qabile ki KHema-gahen jalai jaengi aur tamashai
raqs-e-shoala-fishan par israr hi karenge
main jaanta tha mera qabila burida aur be-rida saron ki gawahiyan
le ke aaega phir bhi log inkar hi karenge
so main kamin-gah-e-afiyat mein chala gaya tha
so main aman-gah-e-maslahat mein chala gaya tha
aur ab mujhe mere shahsawaron ka KHun aawaz de raha hai
to nazr-e-sar le ke aa gaya hun
tabah hone ko ek ghar le ke aa gaya hun
main lakh buzdil sahi magar main usi qabile ka aadmi hun!
(1152) Peoples Rate This