Ek Udas Sham Ke Nam
ajib log hain
hum ahl-e-e'tibar kitne bad-nasib log hain
jo raat jagne ki thi wo sari raat
KHwab dekh dekh kar guzarte rahe
jo nam bhulne ka tha us ek nam ko
gali gali pukarte rahe
jo khel jitne ka tha wo khel haarte rahe
ajib log hain
hum ahl-e-e'tibar kitne bad-nasib log hain
kisi se bhi to qarz-e-abru ada nahin hua
lahu-luhan saaton ka faisla nahin hua
baras guzar gae hain koi moajaza nahin hua
wo jal-bujha ki aag jis ke shola-e-nafas mein thi
wo tir kha gaya kaman jis ki dastaras mein thi
sipah-e-mahr ka fasil-e-shab ko intizar hai
kab aaega wo shaKHs jis ka sab ko intizar hai
hum ahl-e-e'tibar kitne bad-nasib log hain
ajib log hain
hum ahl-e-e'tibar kitne bad-nasib log hain
(1398) Peoples Rate This