Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_89613d80a2d7e71aacb234264ed7d452, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Kahani Bahut Purani - Iftikhar Arif Poetry In English - Darsaal

Ek Kahani Bahut Purani

ajab din the

ajab na-mehrban din the bahut na-mehrban din the

zamane mujh se kahte the zaminen mujh se kahti thin

main ek be-bas qabile ka bahut tanha musafir hun

wo be-manzil musafir hun jise ek ghar nahin milta

main us raste ka rahi hun jise rahbar nahin milta

magar koi musalsal dil pe ek dastak diye jata tha kahta tha musafir!

is qadar na-mutmain rahne se kya hoga

malal aisa bhi kya jo zehn ko har KHwab se mahrum kar de

jamal-e-bagh-e-ainda ke har imkan ko madum kar de

gul-e-farda ko fasl-e-rang mein masmum kar de

dilase ki isi aawaz se sari thakan kam ho gai thi aur

dil ko phir qarar aane laga tha

safar zad-e-safar shauq-e-safar par e'tibar aane laga tha

main KHush-qismat tha

kaisi saat-e-KHush-rang o KHush-asar mein mujh ko

mere be-bas bahut tanha qabile ko naya ghar mil gaya tha

ek rahbar mil gaya tha

ek manzil mil gai thi aur imkanon bhara KHwabon se ummidon se raushan

ek manzar mil gaya tha

(907) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Kahani Bahut Purani In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Ek Kahani Bahut Purani is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Ek Kahani Bahut Purani for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Ek Kahani Bahut Purani in PDF.