Barahwan KhilaDi
KHush-gawar mausam mein
an-ginat tamashai
apni apni teamon ko
dad dene aate hain
apne apne pyaron ka
hausla baDhate hain
main alag-thalag sab se
barahwen khilaDi ko
hoot karta rahta hun
barahwan khilaDi bhi
kya ajab khilaDi hai
khel hota rahta hai
shor machta rahta hai
dad paDti rahti hai
aur wo alag sab se
intizar karta hai
ek aisi saat ka
ek aise lamhe ka
jis mein saneha ho jae
phir wo khelne nikle
taliyon ke jhurmuT mein
ek jumla-e-KHush-kun
ek nara-e-tahsin
us ke nam par ho jae
sab khilaDiyon ke sath
wo bhi mo'atabar ho jae
par ye kam hi hota hai
phir bhi log kahte hain
khel se khilaDi ka
umr-bhar ka rishta hai
umr-bhar ka ye rishta
chhuT bhi to sakta hai
aaKHiri whistle ke sath
Dub jaane wala dil
TuT bhi to sakta hai
tum bhi iftiKHar-arif
barahwen khilaDi ho
intizar karte ho
ek aise lamhe ka
ek aisi saat ka
jis mein hadisa ho jae
jis mein saneha ho jae
tum bhi iftiKHar-arif
tum bhi Dub jaoge
tum bhi TuT jaoge
(1589) Peoples Rate This