Bad-shuguni
ajab ghaDi thi
kitab kichaD mein gir paDi thi
chamakte lafzon ki maili aankhon mein uljhe aansu bula rahe the
magar mujhe hosh hi kahan tha
nazar mein ek aur hi jahan tha
nae nae manzaron ki KHwahish mein apne manzar se kaT gaya hun
nae nae daeron ki gardish mein apne mehwar se haT gaya hun
sila jaza KHauf na-umidi
umid imkan be-yaqini
hazar KHanon mein baT gaya hun
ab is se pahle ki raat apni kamand Dale ye chahta hun ki lauT jaun
ajab nahin wo kitab ab bhi wahin paDi ho
ajab nahin aaj bhi meri rah dekhti ho
chamakte lafzon ki maili aankhon mein uljhe aansu
hawa o hirs o hawas ki sab gard saf kar den
ajab ghaDi thi
kitab kichaD mein gir paDi thi
(1448) Peoples Rate This