Badan-darida Ruhon Ke Nam Ek Nazm
KHwabon se tahi be-nur aankhen
har sham nae manzar chahen
bechain badan pyasi ruhen
har aan nae paikar chahen
bebak lahu
an-dekhe sapnon ki KHatir
jaane anjaane raston par
kuchh naqsh banana chahta hai
banjar pamal zaminon mein
kuchh phul khilana chahta hai
yun naqsh kahan ban pate hain
yun phul kahan khilne wale
in badan-darida ruhon ke
yun chaak kahan silne wale
bebak lahu ko hurmat ke aadab sikhane paDte hain
tab miTTi mauj mein aati hai
tab KHwab ke mani bante hain
tab KHushbu rang dikhati hai
(1118) Peoples Rate This