Abu-talib Ke BeTe
jabin-e-waqt par likkhi hui sachchaiyan raushan rahi hain
ta-abad raushan rahengi
KHuda shahid hai aur wo zat shahid hai ki jo wajh-e-asas-e-anafas-o-afaq hai
aur KHair ki tariKH ka wo bab-e-awwal hai
abad tak jis ka faizan-e-karam jari rahega
yaqin ke aagahi ke raushni ke qafile har daur mein aate rahe hain
ta-abad aate rahenge
abu-talib ke beTe hifz-e-namus-e-risalat ki riwayat ke amin the
jaan dena jaante the
wo muslim hon ki wo abbas hon aun o mohamad hon ali-akbar hon qasim hon ali-asghar hon
haq pahchante the
lashkar-e-baatil ko kab gardante the
abu-talib ke beTe sar-burida ho ke bhi ailan-e-haq karte rahe hain
abu-talib ke beTe pa-ba-jaulan ho ke bhi ailan-e-haq karte rahe hain
abu-talib ke beTe sarf-e-zindan ho ke bhi ailan-e-haq karte rahe hain
madina ho najaf ho karbala ho kazimain o samira ho mashhad o baghdad ho
aal-e-abu-talib ke qadmon ke nishan
insaniyat ko us ki manzil ka pata dete rahe hain ta-abad dete rahenge
abu-talib ke beTon aur ghulman-e-ali-ibn-e-abi-talib mein ek nisbat rahi hai
mohabbat ki ye nisbat umar bhar qaem rahegi
ta-abad qaem rahegi
(1028) Peoples Rate This