Zara Si Der Ko Aae The KHwab Aankhon Mein
zara si der ko aae the KHwab aankhon mein
phir us ke baad musalsal azab aankhon mein
wo jis ke nam ki nisbat se raushni tha wajud
khaTak raha hai wahi aaftab aankhon mein
jinhen mata-e-dil-o-jaan samajh rahe the hum
wo aaine bhi hue be-hijab aankhon mein
ajab tarah ka hai mausam ki KHak uDti hai
wo din bhi the ki khile the gulab aankhon mein
mere ghazal teri wahshaton ki KHair ki hai
bahut dinon se bahut iztirab aankhon mein
na jaane kaisi qayamat ka pesh-KHema hai
ye uljhanen teri be-intisab aankhon mein
jawaz kya hai mere kam-suKHan bata to sahi
ba-nam-e-KHush-nigahi har jawab aankhon mein
(1214) Peoples Rate This