Ye Naqsh Hum Jo Sar-e-lauh-e-jaan Banate Hain
ye naqsh hum jo sar-e-lauh-e-jaan banate hain
koi banata hai hum KHud kahan banate hain
ye sur ye tal ye lai kuchh nahin ba-juz taufiq
to phir ye kya hai ki hum armughan banate hain
samundar us ka hawa us ki aasman us ka
wo jis ke izn se hum kashtiyan banate hain
zamin ki dhup zamane ki dhup zehn ki dhup
hum aisi dhup mein bhi saeban banate hain
KHud apni KHak se karte hain mauj-e-nur kashid
phir us se ek nai kahkashan banate hain
kahani jab nazar aati hai KHatm hoti hui
wahin se ek nai dastan banate hain
khuli faza mein KHush-awaz taeron ke hujum
magar wo log jo tir o sinan banate hain
palaT ke aae gharib-ul-watan palaTna tha
ye dekhna hai ki ab ghar kahan banate hain
(1215) Peoples Rate This