Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0aad57279edba7dbd37dbaedde82b78f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Basti Jaani-pahchani Bahut Hai - Iftikhar Arif Poetry In English - Darsaal

Ye Basti Jaani-pahchani Bahut Hai

ye basti jaani-pahchani bahut hai

yahan wadon ki arzani bahut hai

shagufta lafz likkhe ja rahe hain

magar lahjon mein virani bahut hai

subuk-zarfon ke qabu mein nahin lafz

magar shauq-e-gul-afshani bahut hai

hai bazaron mein pani sar se uncha

mere ghar mein bhi tughyani bahut hai

na jaane kab mere sahra mein aae

wo ek dariya ki tufani bahut hai

na jaane kab mere aangan mein barse

wo ek baadal ki nuqsani bahut hai

(1192) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Basti Jaani-pahchani Bahut Hai In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Ye Basti Jaani-pahchani Bahut Hai is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Ye Basti Jaani-pahchani Bahut Hai for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Ye Basti Jaani-pahchani Bahut Hai in PDF.