Tar-e-shabnam Ki Tarah Surat-e-KHas TuTti Hai
tar-e-shabnam ki tarah surat-e-KHas TuTti hai
aas bandhne nahin pati hai ki bas TuTti hai
aarzuon ka hujum aur ye Dhalti hui umr
sans ukhaDti hai na zanjir-e-hawas TuTti hai
gard itni ki sujhai nahin deta kuchh bhi
shor itna hai ki aawaz-e-jaras TuTti hai
munhadim hota chala jata hai dil sal-ba-sal
aisa lagta hai girah ab ke baras TuTti hai
bu-e-gul aae na aae magar ushshaq ke bich
itni wahshat hai ki diwar-e-qafas TuTti hai
zikr asma-e-ilahi ka hai faizan ki ab
dam ulajhta hai na tasbih-e-nafas TuTti hai
(1418) Peoples Rate This