SuKHan-e-haq Ko Fazilat Nahin Milne Wali
suKHan-e-haq ko fazilat nahin milne wali
sabr par dad-e-shujaat nahin milne wali
waqt-e-malum ki dahshat se larazta hua dil
Duba jata hai ki mohlat nahin milne wali
zindagi nazr guzari to mili chadar-e-KHak
is se kam par to ye neamat nahin milne wali
ras aane lagi duniya to kaha dil ne ki ja
ab tujhe dard ki daulat nahin milne wali
hawas-e-luqma-e-tar kha gai lahje ka jalal
ab kisi harf ko hurmat nahin milne wali
ghar se nikle hue beTon ka muqaddar malum
man ke qadmon mein bhi jannat nahin milne wali
zindagi bhar ki kamai yahi misre do-chaar
is kamai pe to izzat nahin milne wali
(1594) Peoples Rate This