Shahr-e-gul Ke KHas-o-KHashak Se KHauf Aata Hai
shahr-e-gul ke KHas-o-KHashak se KHauf aata hai
jis ka waris hun usi KHak se KHauf aata hai
shakl banne nahin pati ki bigaD jati hai
nai miTTi ko nae chaak se KHauf aata hai
waqt ne aise ghumae ufuq aafaq ki bas
mehwar-e-gardish-e-saffak se KHauf aata hai
yahi lahja tha ki meyar-e-suKHan Thahra tha
ab isi lahja-e-be-bak se KHauf aata hai
aag jab aag se milti hai to lau deti hai
KHak ko KHak ki poshak se KHauf aata hai
qamat-e-jaan ko KHush aaya tha kabhi KHilat-e-ishq
ab isi jama-e-sad-chaak se KHauf aata hai
kabhi aflak se nalon ke jawab aate the
in dinon aalam-e-aflak se KHauf aata hai
rahmat-e-sayyad-e-laulak pe kaamil iman
ummat-e-sayyad-e-laulak se KHauf aata hai
(1566) Peoples Rate This