Sajal Ki Shor Zaminon Mein Aashiyana Kare
sajal ki shor zaminon mein aashiyana kare
na jaane ab ke musafir kahan Thikana kare
bas ek bar use paDh sakun ghazal ki tarah
phir us ke baad to jo gardish-e-zamana kare
hawaen wo hain ki har zulf pechdar hui
kise dimagh ki ab aarzu-e-shana kare
abhi to raat ke sab nigah-dar jagte hain
abhi se kaun charaghon ki lau nishana kare
suluk mein bhi wahi tazkire wahi tashhir
kabhi to koi ek ehsan ghaebana kare
main sab ko bhul gaya zaKHm-e-mundamil ki misal
magar wo shaKHs ki har baat jarehana kare
(858) Peoples Rate This