Mera Malik Jab Taufiq Arzani Karta Hai
mera malik jab taufiq arzani karta hai
gahre zard zamin ki rangat dhani karta hai
bujhte hue diye ki lau aur bhigi aankh ke bich
koi to hai jo KHwabon ki nigarani karta hai
malik se aur miTTi se aur man se baghi shaKHs
dard ke har misaq se ru-gardani karta hai
yaadon se aur KHwabon se aur ummidon se rabt
ho jae to jine mein aasani karta hai
kya jaane kab kis saat mein taba rawan ho jae
ye dariya be-mausam bhi tughyani karta hai
dil pagal hai roz nai nadani karta hai
aag mein aag milata hai phir pani karta hai
(1849) Peoples Rate This