Manzar Se Hain Na Dida-e-bina Ke Dam Se Hain
manzar se hain na dida-e-bina ke dam se hain
sab moajaze tilism-e-tamasha ke dam se hain
miTTi to samne ka hawala hai aur bas
kuze mein jitne rang hain dariya ke dam se hain
kya aisi manzilon ke liye naqd-e-jaan ganwaen
jo KHud hamare naqsh-e-kaf-e-pa ke dam se hain
ye sari jannaten ye jahannam azab o ajr
sari qayamaten isi duniya ke dam se hain
hum sare yaadgar-e-zamin-o-zamana log
ek sahab-e-zamin-o-zamana ke dam se hain
(1046) Peoples Rate This