Kuchh Bhi Nahin Kahin Nahin KHwab Ke IKHtiyar Mein
kuchh bhi nahin kahin nahin KHwab ke iKHtiyar mein
raat guzar di gai subh ke intizar mein
bab-e-ata ke samne ahl-e-kamal ka hujum
jin ko tha sar-kashi pe naz wo bhi isi qatar mein
jaise fasad-e-KHun se jild-e-badan pe dagh-e-bars
dil ki siyahiyan bhi hain daman-e-dagh-dar mein
waqt ki Thokaron mein hai uqda-kushaiyon ko zoam
kaisi ulajh rahi hai Dor naKHun-e-hoshyar mein
aaega aaega wo din ho ke rahega sab hisab
waqt bhi intizar mein KHalq bhi intizar mein
jaisi lagi thi dil mein aag waisi ghazal bani nahin
lafz Thahar nahin sake dard ki tez dhaar mein
(1082) Peoples Rate This